Nice, Thanks for sharing WG.
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
Nice, Thanks for sharing WG.
[/QUOTE]
Thank you GuL-e-Tasbeeh :)
Beautiful....
Very nice:) and u got a very nice nick:flower1:
Thank you for liking both my posting and my nick. Allah aap ko khush rakhay, Amen ![]()
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Beautiful....
[/QUOTE]
Thanks! Dilsay
i can't see wg..:(
bohtu he Aala:k::k:
**Just for you Koyal. Dobara likh raha
**
Jo beeti hai woh dohranay maiN kuch waqt lagay ga
Os ko GHam ek yaad bananay maiN kuch waqt lagay ga
Neend tu Aanay ko thee per dil pichlay qissay lay baiTHa
Ab khud ko baywaqt sulanay maiN kuch waqt lagay ga
Os ka saath ab tanhaai ko kerta hai aur ziada
Per yeh baat usay samjhanay maiN kuch waqt lagay ga
AaKHir hamaiN bhi lauT kay ek din ghar ko jana hai
Lekin itni door say Aanay maiN kuch waqt lagay ga
Sha’ir hooN yeh sochna ho ga “kaisay sub kuch kehna hai”
Dil kik baat laboN tak laanay maiN kuch waqt lagay ga
yeh mut samjho duniya walo thak ker baiTh gaye hum
Pichlee choToN ko sehlanay maiN kuch waqt lagay ga
Itni jaldi kia hai shabnam tum ko waapis jaanay kee
Kaam yeh duniya kay nibTanay maiN kuch waqt lagay ga
bohat achi wg ..
and thanks 4 doin again ..![]()
Shukriya, aap kuch kahaiN aur ham na sunaiN aisay tu halaat nahee ![]()
Really..![]()
vey nice, sooooooooo good:)
keep it up!