jo bechar gaya vo milla hi kab tha
Jo rooth gaya vo mana hi kab tha
Main to yunhi khawb sajaya bethi reh gayi
Us ko aa kar mujhay samatna hi kab tha
Main har sham us ki yaad main chargh jalati thi
Hawa ki zad main charaghun ko jalna hi kab tha
Vo jo door rah kar maray dill main utar gaya
Us ko mary udasi main aana hi kab tha
Vo jo mehndi maray hathon par lagi rahi
main bhool gayi, us mehndi ko sukhna hi kab tha
Har sapna tu toot-a jata ha khud hi ab mujh say
In sapnoon ki dour ko sulhjna hi kab tha
Haan saara kasoor sirf maray hi tha
Vo ata bhi to mujha piyar karna hi kab tha