Khudgharzi** ke khaar chubhaanay aata hai |
Jo aata hai zakhm lagaanay aata hai ||
Ab uss ki ummeed na kar wo jhoota tha |
Kiski duniya kaun basaanay aata hai ??
*Ek* pal khud se doo'r nahi honay deti |
Tanhaai ko saath nibhaanay aata hai ||
Dahshatgardi khaak mitaaega jug se |
uss ko to bus aag lagaanay aata hai ||
Yu'N to sab JAWED bazaahir haiN apne |
DekheN kaaNdha kaun lagaanay aata hai ?? **
bahot Khoob Jawed Bhai...FaseeH Bhai ne jo farmaayaa uske 'ilaava maiN 'arz karnaa chaahuuNgaa k saHeeH talaffuz Gharaz hai na k Gharz aur lafz EK [alif, ye, kaaf] ko IK [alif, kaaf] honaa chaahiye...nazar-e-saanii kar leN plz. shukria.
donoN alfaaz kii tasHeeH ke ba'd vazan meN farq aa jaayegaa is liye is par Ghaur farmaaiyegaa. shukria