Re: Jizya tax - What was the logic?
peace psyah, are bhai sb naraazgi ki kia baat hai aap ko meri posts nahin padni to na paden magar jo padna chahte hun un se to moqa na chhinen. Aap ke jo bhi nazriyaat hun ham ne aap ke khilaaf complain nahin kiya. Yahan par shia hazraat bhai hen aur ehle hadith bhi aur deobandi bhi aur deegar ehle sunnat bhi. in ke ilaawa aur bhi kayee tarah ke nazriyaat rakhne waale log hen jo apna pana point of view share kar rehe hen.
baat ki gayee hai fasaad ki aur main samajhta hun islam ka fsad phelane se koi taaluq hi nahin hai. sis per maine quran ka hawaala diya hai keh khud dekh lo kahan pe quran apne maanane waalun ko fasaad ka hokam de raha hai.
doosri post isi ziman main hai keh ham ko quran ko padna chahiye ta keh ham ko pata to chale ke quran main likha kia hai aur hamaare molvi log ham ko kia bataate hen aur us par log kia kia tanqeed karte hen aur us ka jawaab hamare mullah logoon ke paas nahin hai. yeh is liye ke mullah ka dor ab khatam hone ko hai bas kuchh aur halaat khraab hone ki dair hai aur logoon ko samajh aane ki dair hai. us ke baad har mullah ko joote paden ge jo quran ko apne fasaadaat aur mufadaat ke liye istemaal karta hai.
Links dene ka faaida yeh hota hai ke logoon ko kaam ki baaten doohnde main waqt zaaya nahin karna padta.
hamaari qaom ilm main pehle hi bahot kamzor hai agar aap jese log is ko aisa hi rakhna chahte ho to apni rawish par chalte roho nateejah bahot jald saamne aana shuroo ho jaaye ga.
yeh waqt ki zabardast zaroorat hai keh ham log apni khud saakhta chardiwaari se bahir nikal kar dekhen aur sochen.