Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

Faasle k ma’ni ka kyun fareb khaate ho
Jitne door jaate ho,itne paas aate ho.

Raat toot parrti ha jab sakoot-e zindaa’n par.
Tum mere khayalon main chhup k gungunaate ho.

Meri khilwat-e gham k aahani dareechon par
Apni muskurahat ki mash’alen jalaate ho.

Jab tanni salaakhon se jhaankti ha tanhaai
Dil ki tarah pehlu se lag k beth jaate ho.

Tum mere iraadon k doobte sitaaron ko
Yaas ki khalaaon main raasta dikhaate ho.

Kitne yaad aate ho,poochte ho kyun mujhse
Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho.

AHMED NADEED QASMI

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

Kitne yaad aate ho,poochte ho kyun mujhse
Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

ye konsa math huga :hmmm:

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

Equations

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

tu kya wo bhi yaad kerty hai :D

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

uski wo jaane usse paas e wafa tha ke nahin
tum Faraz apni taraf se to nibhate jaate

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

bus yeheen se gerber shuru huty hai :hbk:

hisaab baraber baraber :emmy:

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

muhabbat main Maths ki mashq nahin chalti

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

muhabat mae dimagh kaam kerna chor deta hai na isliye :D

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

aap ko kaise pata? jin dino phuppi ne aap se muhabbat se baat ki, aap ka dimagh saaatwen aasman pe chaRh gaya tha?

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

yaad aana is directly proportional to yaad karna

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

jaise ko taisa :snooty:

Re: Jitna yaad karte ho utne yaad aate ho

jorr barabar da