system
1
Ussey apney farda ki fikr thee, wo jo mera wakif-e-haal tha
Wo jo us ki subha-e-urooj thee, wohi mera waqt-e-zawaal tha
Mera wo waqt kaisey jaanta, meri baat kaisey wo maanta
Wo tu khud fana kay safur main tha, ussey rookna bhi mahaal tha
Kahaan jao gay mujhe choor ker, main ye pooch pooch ker thuk gaya
Wo jawab bhi na dey saka, wo tu khud sarapa sawaal tha
Wo jo us kay saamney aa gaya, wohi rooshni main naha gaya
Ajab us ki hayyut-e-husn thee, ajab us ka rung-e-jamaal tha
Dum-e-waapsi pe kiya howa, na wo rooshni, no wo taazgi
Wo sitara kaisey bikhar gaya, wo tu aap apni misaal tha
Wo mila tu sadyoon kay baad bhi, meray lub pe koi gila na tha
Ussey meri chup ney rola diya, jissey guftugu main kamaal tha
Wo mujh sey mil kay roo diya, mujhey faqt itna wo keh saka
Jissey jaanta tha wo zindigi, wo tu sirf wehm-o-khayaal tha
Re: Jissey jaanta tha wo zindigi…
:k:
Re: Jissey jaanta tha wo zindigi…
***** Vivacious *** **
:k::k::k:
**Wo mila tu sadyoon kay baad bhi, meray lub pe koi gila na tha
Ussey meri chup ney rola diya, jissey guftugu main kamaal tha
Wo mujh sey mil kay roo diya, mujhey faqt itna wo keh saka
Jissey jaanta tha wo zindigi, wo tu sirf wehm-o-khayaal tha**
Bohat khoob .. :k:
Koyal
10
one of my all time fav thanks 4 sharin..:)
Re: Jissey jaanta tha wo zindigi…
mein yeh ghazal kafee dinoo se dhond rahee thee:k::k::k::k:
thanks a lot sis:flower1:
Azad
13
aap ka zoq nikarta hi jaa raha hay .... paRos main naay log aagay hain kia ;)