Na sawal kar na jawab maang ke mujhe zindagi ki kitab mein
Ek baab bhi khushi ka mila nahee mein aakhir tujh ko sunaon kya
Tujhe kya khabar mere hamsafar hai bisaat-e-jaan dukhi kis qadar
Dard hai bahut par hai be-nishan tujhe zakhm apne dikhaoon kya
Jis ham-nawa pe mujhe naaz thaa woh tu waqt ke sath hi badal gaya
Jissay naam bhi mera yaad nahee us pe huq mein apna jataoon kya
Tu gaya tu tere sath sath mera aitbaar wafa se hi chala gaya
Loh-e-jaan pe ab kuch raqam nahee kya yaad rakhoon aur bhulaon kya
Mein mara nahee tu jiya bhi kya ke tere baad haal hai ajeeb sa
Koi dekhay tu us se chupaoon kya koi poochay tu us ko bataoon kya …
Nazi83
2
Zabardasttttttt !! very touchy so true !!
Jis ham-nawa pe mujhe naaz thaa woh tu waqt ke sath hi badal gaya
Jissay naam bhi mera yaad nahee us pe huq mein apna jataoon kya
Tu gaya tu tere sath sath mera aitbaar wafa se hi chala gaya
Loh-e-jaan pe ab kuch raqam nahee kya yaad rakhoon aur bhulaon kya
Mein mara nahee tu jiya bhi kya ke tere baad haal hai ajeeb sa
Koi dekhay tu us se chupaoon kya koi poochay tu us ko bataoon kya ...
system
7
Re: ~ Jissay Naam Bhi Mera Yaad Nahee ~
[QUOTE]
*Originally posted by zawanfira: *
*
Jis ham-nawa pe mujhe naaz thaa woh tu waqt ke sath hi badal gaya
Jissay naam bhi mera yaad nahee us pe huq mein apna jataoon kya
Bahooooooooot khoobsorat... really...
...