Jiss ki jhankaar main dil ka aaram tha.
Woh tera naam tha.
Mere honton pe raqsaan jo naam tha.
Woh tera naam tha.
Tohmatain mujh per aati raheen kaee aik se aik.
Khoobsoorat mager jo ilzaam tha.
Woh tera naam tha.
Dost jitne bhi thay woh na"aashna ho gaey.
Paar"saa ho gaey.
Saath mere jo ruswa sar-e-aam tha.
Woh tera naam tha.
Subah shaam tak jo mere paas thi.
Woh teri aas thi.
Shaam ke bad jo lab-e-baam tha.
Woh tera naam tha.
Mujh pe qudrat rahi hamesha mehrbaan,de diya sara jahan.
Per jo sab se bara in"aam tha.
Woh tera naam tha.
7star k naam like always.