jisko bholey wo sada yaad aya

Jo bhi dukh yaad na tha yaad aya
Aj kya janiye kya yaad aya
Phir koi hath ha dil par jaise
Phir tera ahd-e-wafa yaad aya
Jis tarah dhund main liptey hue phool
Aik ik naksh tera yaad aya
Aisi majboori k aalam main koi
Yaad aya bhi to kya yaad aya
Aye rafiqoon sar-e-manzil ja kar
Kya koi abla pa yaad aya
Yaad aya tha bicharna tera
Phir nahi yaad k kya yaad aya
Jab koi zakham bhara daag bana
Jab koi bhool gaya yaad aya
Yah mohabbat bhi ha kya rog faraz
Jis ko bhole woh sada yaad aya

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

Woh sada yaad aaya :)

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

congrats on ur 900 Posts :bb:

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

yeh kiya tha tareef ya :teary1: acha thanks k perhi to sahi:D

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

acha hogeye wow thanks k mujhey bataya warna mujhey kabhi pata nahi chalta:D

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

Haaye Massoomiyat :bailan:

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

wah! very nice :k:

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

thanks prince jee

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

Beautiful..

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

tum dono kahan ho- i miss u guys ts n sid!
tahreem saheba, bahot khuub ji

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

nice tehreem:)

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

thanks Ahmer jee

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

Very nice ghazal tahreem :k: hamaarey saath share karne ke leeye shukriya :~)

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

ohh we miss u too aap he nahi aati ho or thanks:D

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

thanks Bheegiyaad

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

Thanks Amal jee ab tow aap kafi nazar aatey ho thats nice:D

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

very nice tahreem aaj kal kaafi shairi parh rahi heiNlagta hey kaafi faraghat hey:~)

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

Bohat Khoob ..................
Charming.........
:)

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

thanks 4 liking Gul

Re: jisko bholey wo sada yaad aya

thanks Soniaa jee