Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

jisey laot ke jaana hota hey kuch door wo aata hi kiuN hey!

rasmoN ke zalim panjoN sey jisey dar ho toot, bikharney ka
mohabbat ke kheil khilonoN sey wo dil behlaata hi kiuN hey!

murjhaaey huwey sab phooloN sey wehshat si hoti hey jis ko
khizan ke ujrey mosam meiN wo baagh meiN jaata hi kiuN hey!

jisey khatra ho haathoN ki chatri aandhi ko rok na paey gi
wo waqt ki teiz hawaaoN meiN phir deep jalaata hi kiuN hey!

neend sey utthney par aksar jab toot hi jaana hey is ney
har koi phir apni aankhoN meiN ye khaab sajaata hi kiuN hey!

do’raahoN par aa kar aksar simtoN ke masaail hotey heiN
manzil ka pata janey bin bhi koi qadam barrhata hi kiuN hey!

ashqoN sey bheega do’shaala gar pyaar meiN dena hey ik din
to chorr ke jaaney waala phir rootthey ko manaata hi kiuN hey!

yuNhi panchi ishq, mohabbat ke naadaani kartey rehtey heiN
jisey dar toofaan sey lagta hey wo par pheilaata hi kiuN hey!

By: Amal

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

Nice..

Beautiful :hugz:

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

as usual..........superb

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

bohat he khoob!!!!!!!!
:)

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

bohat achi hai,so nice:):)

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

buhat zabardast amal
ap ki shayri hamesha mujhay idea deti hai aur alfaaz bhi
thx

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

nice:)

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

murjhaaey huwey sab phooloN sey wehshat si hoti hey jis ko
khizan ke ujrey mosam meiN wo baagh meiN jaata hi kiuN hey!

wah... bohat achay... definately bait-ul-ghazal

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

:lajawab:

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

in sabbaatoNka jawaab mil jaaey tou mujhey bhi zaroor bataaeiN:~) beautiful poem Amal, thanks for sharing:-)

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

wahh amal bohat khoob :)

aur ye sub kartay thory hain ho jata hai khudi :-/

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

tajurba bolta hia :p ;)
keon masom ko kharab karti haiN shab :p

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

ap ki har gazal parnay ka maza he kuch aur hota :blush:

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

:halo: masoom kon ap ya amal :konfused: :stuck_out_tongue:

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

i guess Aymal ko he kah rehi hona Koyal tu chalalkoo lagti…sorry koyal mind na karna :wink:

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

AYmal :k: :stuck_out_tongue: :hehe:

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

he, who avoids my eyes, why does he cast glances at me?
he, who has to go back, why does he come near me?

he, who's is bound in rituals and is afraid he'll lose himself,
why does he please himself, playing love games with me?

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

bohot khoob. keep up the gd work

Re: Jisey nazar churaani hoti hey wo aankh milaata hi kiuN hey!

wonderful, man.