**
Dukh ki lehar ne chera hoga
Yaad ne kankar phainka hoga
Aaj tu mera dil kehta hai
Tu is wakt akela hoga
Mere choome huwe haathon se
Auroon ko khat likhta hoga
Rail ke ghehree seetee sun kar
Raat ka jungle goonja hoga
Sheher ke khaali station per
Koi musafir utra hoga
Aangan mein phir chiryaan boleen
Tu ab so kar utha hoga
Yadoon ke jalti shabnam se
Phool sa mukhra dhoya hoga
Mottee jaisi shakal bana kar
Aaeenay ko takta hoga
Shaam huwee ab tu bhi shayad
Apne ghar ko lauta hoga
Neele dhundhle khamoshi main
Taaron ki dhun sunta hoga
Mere saathi shaam ka taara
Tujh se aankh milaata hoga
Shaam ke chalte haath ne tujh ko
Mera salaam tu bhaija hoga
![]()
Pyasi kurlaati koonjoon ne
Mera dukh tu sunaaya hoga
Main tu aaj bahut roya hoon
Tu bhi shayad roya hoga
‘Nasir’ tera meet purana
Tujh ko yaad to ata hoga
**
**
Mere sath sath woh sada raha nazar se meri chupa huwa
Ye ajeeb hijr-o-wisal hai na mila kabhi na juda huwa
Jisay legaee hai ab hawa woh warq thaa dil ki kitaab ka
Kaheen aanso’on se likha huwa kaheen aanso’on se mitta huwa**