~*~ Jisay barsoon dua di thee ... Usay kya bad-dua deti ~*~

*Kahaan mumkin thaa mein dil se teri yaadain mitta deti
Bhala kaise mein jeeti phir agar tujh ko bhula deti

Teri ruswai ke dar se laboon ko see liya warna
Tere shehar munafiq ki mein buneyaadain hilla deti

Kiya tark-e-wafa us ne tu hogi us ki majboori
Jissay barsoon dua di thee ussay kya bad-dua deti

Khabar hoti agar mujh ko nahe hai tu muqaddar mein
Ussi lamhay mein haathoon ki lakeeron ko mitta deti …*