Aur terey sheher se jub rakht-e-safar baandh lia
dar-o-dewaar pe hasrat ki nazar kia kartey
chaand kajlaai hui shaam ki dehleez pey tha
iss gharri bhi terey majboor-e-safar kia kartey
dil theher jaaney ko kehta tha magar kia kartey
“Hum ne jub wadi-e-ghurbat mein kadam rakha tha”
jis tarhan yaad-e-watan aayi thi samjhaaney ko
kuch issi tarhan ki kefiat-e-jaan aaj bhi hai
jis tarhan koi qiyamat ho guzar jaaney ko
Jis tarhan koi kahey phir se palat aaney ko