Jis se baat karay wo tera Chehra dekhay,
Phr usay Shehr nazar aaye na Sehra dekhay
Roshni woh hay kay Ankhein nahi khunay patein,
Ub to shayad hi koi ho jo Ujala dekhay
Is Bharay Shehr mein kis kis se kahon hal apna,
Meri Halat to koi dekhnay wala dekhay
Chornay mein nahi jata usay darwazay tuk,
Laut aata hon ub kon usay jata dekhay
Saaye ki tarhan meray saath hay Dunya “Shehzad”,
Kaisay mumkin hay kay Tanha mujhe Dunya Dekhay
For my Beloved … ![]()