**
Shehar-e-dil ki udaas galeyoon mein
Zindagi baal bikhraaye
Apna huq maangti rahi aur hum
Apne kanoon mein ungleyaan daalay
Apne maa’bood ke isharoon per
Us ki chaukhat pe sajda raiz rahay
" **
another one … !
**
Hoti nahe wafa tu jafa hi kiya karo
Tum bhi tu koi rasm-e-muhabat ada karo
Hum tu pe mar mittay tu yeh kis ka hai qusoor
Aaeenaa le ke haath mein yeh khud faisla karo
Sharminda hoon ke maut bhi aati nahee mujhe
Tum mere liye ab tu koi bad-dua karo
Betho na mehfiloon mein zamaana kharaab hai
Dekho hamaari baat kabhi sun liya karo
‘Saahil’ kabhi tu dekheyga woh tum ko jhaank kar
Us ki gali mein roz tamaasha kiya karo**
and the last one … !
**
Jo tum ne thaan hi li hai
Hamare dil se niklo ge!
To itna jaan lo pyare
Wafa ki seerhion per har qadam phela hua
Yeh aarzo’on ka lahoo zaya na jaey ga
Samandar samne hoga agar sahil se niklo ge!
Sitare, jin ki aankhon ne hamain ek saath dekha tha
Gawahi dene aaein ge
Purane lafzon ki balkoni se bohat se lafz jhankein ge
Tumhein wapis bulaein ge!
Tumhain daman se pakrein ge
Tumhari jaan khaein ge!
Chupa ker kis tarah chehra
Bhari mehfil se niklo ge
Zara phir soch lo janan
Nikal to jao ge shayad!
Magar mushkil se niklo ge…!!
**
![]()