jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

phir koi haath hai dil par jaise
phir teraa ahad-e-wafaa yaad aayaa

jis tarah dhund mein lipate huye phool
ek ek naqsh teraa yaad aayaa

aisii majaboorii ke aalam meN koi
yaad bhii aayaa to kyaa yaad aayaa

yaad aayaa thaa bichhaRanaa teraa
phir nahin yaad ke kyaa yaad aayaa

ye mohabbat bhii hai kyaa rog “Faraz”
jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

Faraz ne Nasir Kazmi ki zameen chura li. :eek:

Dil dhaRakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

wah

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

Churanay dein, aap ka kiya jata hai. :snooty:

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

aik taza taza line main nay bhi likh mari
“Muhabat honay main lamha lagta hay aur bhulany main sadiyaaN” :hinna:

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

kaun jeeta hai teri zulf kay sir honey tuk.

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

wazan aur akhlaq se giri shairi post karne se ijtinaab karen :emmy:

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

chori report karna her zimma dar shehri ke faraiz main shamil hai

Re: jis ko bhoole wo sadaa yaad aayaa

yah shairi naheen maira maqola hay :barbie: