An-kahi baat ka izhaar bi ho skta hai,
Paani jam jaey to dewaar bi ho skta hai.
Kia zaroori hay musallay pe faqat zahid ho,
Ronay wala koi me-khawaar bhi ho skta hy.
Pichly sawan me tu aya tha ghataa ki soorat,
Kia wohi mojaza iss baar bi ho sakta hy?
Doosra pehloo bhi tum zehn me rakh kar jana,
Uss k dar say tumhein inkaar bhi ho sakta hy.
Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
Kesay manoon k wo fankaar bi ho sakta hy!!
Re: Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
Very nice. Mohsin sahb is amazing !!
Thanks for a lovely sharing khawabRung :)
UZ
3
Re: Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
Very nice :k:
Amal
4
Re: Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
Kya baat hey 
Re: Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
Amal g bohat dino k bad ap dikha hay kidher chaly gaye thay.
Re: Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
bohat aalaaaa.....bohat khoob
pktun
7
Re: Jis ki poshaak pe almaas jarray hon MOHSIN,
v nyc
Mohsin g’s poetry is awsome :k: