~ Jis ki humein talaash thee subh-o-shaam ~

Dedicated to Lamhay

Jis ki tabeer nahee mili tum hi tu woh khwaab ho
Jis ki mehak hum tak na aye tum hi tu woh gulab ho

Pyas ke sehra mein umeed toot’ti hai kabhi jaagti hai
Jis tak kabhi pohanch na paye tum hi tu woh saraab ho

Dil ki khwahish thee aur tum sarapa-unwaan bhi thay
Thehreer na kar paye jissay kabhi tum hi tu woh kitab ho

Jharnoobn ka shor ya koyal ki kook kuch dil ko bhaata nahee
Jis ki jhankar ko hum suna chahain tum hi tu woh rubaab ho

Mazhab-e-ishq kaise samjayain in patthar dil waloon ko
Gunah kehti hai zalim dunyia jisay tum hi tu woh sawaab ho

Tumhare sab khatoon ka sawaaloon ka muhabbat ka khwaboon ka
Zuban se jo ada kar nahee patay shayad tum hi tu woh jawab ho

Woh mil jatay thay har roz jinahin hum dhondtay nahee thay
Jis ki humein talaash thee subh-o-shaam tum hi tu woh nayaab ho …