Jis din se juda woh hum se huwe... !

Woh mera raunaq-e-mehfil kahaan hai …
Meri bijli mera haasil kahaan hai …
Muqaam us ka hai dil ki khalwitoon mein …
Khuda jaane muqaam-e-dil kahaan hai …

Jis din se juda woh hum se huwe, Is dil ne dharakna chor diya !
Hai chaand ka munh utra utra, taaroon ne chamakna chor diya !

Woh paas hamaare rehtay thay, be-rut bhi bahaar aajati thee
Ab laakh bahaarain aae tu kya, phoolon ne mehakna chor diya

Humraah koi saathi bhi nahee, ab yaad koi baaki bhi nahee
Ab phool khilain zakhmoon ke kya, aankhoon ne barasna chor diya

Hum ne yeh dua jab bhi maangi, taqdeer badal de Ay Maalik !
Awaaz aaee ke ab hum ne, taqdeer badalna chor diya !

Jis din se juda woh hum se huwe, Is dil ne dharakna chor diya !
Hai chaand ka munh utra utra, taaroon ne chamakna chor diya !

is din se juda woh hum se huwe, Is dil ne dharakna chor diya !
Hai chaand ka munh utra utra, taaroon ne chamakna chor diya !

bahut khoob

well amali zindagi main koi kisi k liye nahi aisa karta logh chalay jatay hain murh kar nahin dekhtay wapis palat kar !na koi kisi k liye marta hai na koi kisi k saath chaal pata hai !
zindagi main aksar jaga dhoka hi milta hai!!

Kaun kehta hai woh mere baad tanha hoga
Woh ik chiraag hai kaheen aur jalta hoga

[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Kaun kehta hai woh mere baad tanha hoga
Woh ik chiraag hai kaheen aur jalta hoga
[/QUOTE]

meray baad kis ko sataogey!!!

Kahaan woh be-tahaasha muhabbatain
Kahaan yeh intehaa ki nafratain
Ajab wehshatoon ka rishta
Tere mere darmeyaan hai !!!

Nice Song! :) thanx for shairing!

[QUOTE]
*Originally posted by Eastern Thoughts: *
Nice Song! :) thanx for shairing!
[/QUOTE]

Its not a song, infact its a Ghazal which is very beautifully sung by Pankhaj Udhas :)

sighz
very nice :k:

ab us kai hijar main roain na wasl main khush hain
wu doost ho bhi to samjho kai dostana gaya
nigah-e-yaar ka kya hai hui hui na hui
ye dil ka dard hai pyarai gaya gaya na gaya

Re: Jis din se juda woh hum se huwe… !

:k: