Jins-e-duniya se guzar jatay hain

**Jins-e-duniya se guzar jatay hain
Aisa karte hain kay mar jatay hain

Kaise hotey hain bicharney walay
Hum yeh sochein bhi tu darr jatay hain

Dil jo tootey tu sar-e-mehfil bhi
baal bewaja bikhar jatay hain

Ab na dekho meri banjar ankhein
Chartey durrya tu utar jatay hain

Ab na mour mour kay pukaro unko
Log rastey main tehar jatay hain

Kaali damaan se shikayat kaisi?
Ashk ankhon mein tu bhar jatay hain

Tum kahan jaoge socho Mohsin?
Log thak-haar kay ghar jatay hain**

Re: Jins-e-duniya se guzar jatay hain

:k:

Re: Jins-e-duniya se guzar jatay hain

tum lakh aana ko maro ya bek hi mango
bicherna ho jin ko vo bicher hi jaaty hein :(

Re: Jins-e-duniya se guzar jatay hain

true…:teary3: