Lets share poetry related to Jadu-nagri (Aaseb, Jinnat, Pari, Dev, Jadu, Sehr, etc).
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Har shaam yahan shaam-e-weeran, aaseb zada raste galiyan
Jis shehr ki dhun main nikle thay, woh shehr dil-e-barbad kahan
Sehra ko chaman ban ko gulshan badal ko rida kia likhna
Zulmat ko zia, sa sar ko saba, banday ko khuda kia likhna
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
har peR hai aaseb to har shaaKh hai talvaar
tanhaai mein baRh jaaye na kyun Khauf-o-Khatar aur
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
'Munir' is mulk par aasaib kaa saayaa hai yaa kya hai
k harkat taiz tar hai aur safar aahistah aahistah!
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Shehr e aaseb main aankhen hi nahin kafi
ulta latko ge to phir seedha dikhai de ga
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Ek jinn akele akele yahan sher-o-shairi ker raha hay…
Koi hay??? Bachaooooooooooo ![]()
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
lols. mujhe pata tha ek na ek din aap ka yahan se guzar hoga ![]()
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Jadu hai teri har ek baat main
yaad bohut atey hu din or raat main
kal jab dekha tha main ney sapna raat main
app hi ka hath tha mere hath main
mujhe is shair per elfy wala shair yaad agaya khuwaab main bhi nahi chora hath ![]()
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
iss se acha to ‘jadu teri nazar’ wala song post kar dia hota
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
but yaHAN SHAIR post kerney hain ![]()
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
aur main darr ke bhaaag gayee… ![]()
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Najana kon sa aasaib dil mein basta hai,
Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor gaya…
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Najana kon sa aasaib dil mein basta hai, Ke jo bhi thehra woh aakhir makaan chor gaya…
Raha na dil may wo baydard or dard raha....
Makeen Kon howa, makan kis ka tha...
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
Raha na dil may wo baydard or dard raha.... Makeen Kon howa, makan kis ka tha...
Qabzaa group
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
muhaabat woh jaado hay k jis k chalnay k bad
rah main roray atkanay walay zakoota jin or binbatoree lagtay hain
made by P_G
Re: Jinnat, Jadu, Aaseb wli poetry
muhaabat woh jaado hay k jis k chalnay k bad
rah main roray atkanay walay zakoota jin or binbatoree lagtay hain
made by P_G
wah wah.. Zakoota aur Bin-BatooRe jaise alfaaz ko Urdu shayari main introduce karane ka sehra P_G ke sir jaega
