Ye sheeshe ye sapne ye rishtay ye dhaagey
kissay kya Khabar hai kahaan toot jaayien
mohabbat ke daryaa mein tinke wafaa kay
na jaane ye kis moR par Doob jaayien
ajab dil kii waadi ajab dil ki bastii
har ek morh mausam nai Khwaahishon kaa
lagaaye hain ham ne bhii sapnon ke paude
magar kyaa bharosa yahaan baarishon kaa
muraadon ki manzil ke sapnon mein khoye
muhabbat ki raahon pe ham chal pare they
zaraa duur chal kar jab aankhain khulii to
kari dhuup mein ham akelay kharay theey
jinhen dil se chaaha jinhen dil se poojaa
nazar aa rahe hain wohii ajanabi sey
ravaayat hai shaayad ye sadiyon puraani
shikaayat nahin hai koi zindagi sey!