Agar bewafa tujh ko pehchaan jaatay
Khuda ki qasam hum muhabbat na kartay
Jo maloom hota yeh anjaam-e-ulfat tau
Dil ko lagaanay ki jurrat na kartay
Jissay phool samjha wohi khaar nikla
Teri tarha jhoota tera pyar nikla
Jo uth jaatay pehle hi aankhoon se parday tau
Bhoolay se bhi hum tu ulfat na kartay
Agar bewafa tujh ko pehchaan jaatay
Khuda ki qasam hum muhabbat na kartay …
**
Jinhain tum ne samjha meri bewafaee
Meri zindagi ki woh majbooreyaan theen
Hamaari muhabbat ka ek imtehaan thaa
Yeh do din ki thori si jo dooreyaan theen**
Agar sachi hoti muhabbat tumhari tau
Ghabra ke tum yun shikaayat na kartay
Agar bewafa tujh ko pehchaan jaatay
Khuda ki qasam hum muhabbat na kartay …
Mera dil thaa sheesha huwa choor aisa
Ke ab laakh joroon tu jurr na sakeyga
Tu patthar ka butt hai pata jo yeh hota tau
Dil tootne ki shikaayat na kartay
Agar bewafa tujh ko pehchaan jaatay
Khuda ki qasam hum muhabbat na kartay …
Jo hum pe hai guzri hum hi jaantay hain
Sitam konsa hai nahee jo uthaaya
Nigahoon mein phir bhi rahi teri surat
Har ek saans mein tera paighaam aaya
Agar jaantay tum hi ilzaam dogay tu
Bhoolay se bhi hum tu ulfat na kartay
Agar bewafa tujh ko pehchaan jaatay
Khuda ki qasam hum muhabbat na kartay …