Hai ravish ravish mein shaguftagi, kaheen taazgi, kaheen naghmgi
Yeh chaman se kis ka guzar huwa ke tamaam phool nikhar gaye
Sab giraneyaan saath theen, teri meharbaneyaan saath theen
Teri aarzoo mein jahaan rahe, teri justujoo mein jidhar gaye
**
Kahain kis tarah se yeh wa’qeaa, bara dukh bara hai yeh haadisa
Jinhain hum samajhtay thay aashna, woh nazar chura ke guzar gaye**
Rahay saahiloon pe ‘Zohair’ hum, kabhi is taraf kabhi us taraf
Jo talaash-e-zaat mein thay maggan, woh bhanvar mein kaise utar gaye