**Jindagi fakat teri mohabbat ka sahara tha
Verna kya tha main, kya ye dil bechara tha
**
Jab kabhi umron ke gam se, aaziz hum aaye,
Udasiyon ke sagar ko, tera daaman kinara tha
**Logon se suna tha, maazi me jeena murdangi hai
Teri yadon se hi roshan, mera kismat sitara tha
**
Kayamat baad mujhse jab mila, wo khuda bola
Ki mitaye mitay na, ye ummeedon ka sharaara tha
**Barha poochhta hai mujh se meri shaam ka majmoon
Haay!! kaise kahun, kaisa karaara uska ishaara tha
**