Hijr ki shab naala-e-dil woh sadaa dainey lagey
sunnay waley raat katney ki duaa dainey lagey
kis nazar sey aap ney daikhaa dil-e-majrooh kou
zakhm jou kuch bhar chaley thay phir hawaa dainey lagey
juz zameen-e-koo-e-jaanan kuch nahin paish-e-nigaah
jis kaa darwaaza nazar aayaa sadaa dainey lagey
baaghban ney aag di jab aashiyaane ko meray
jin pey takiya thaa wohi pattey hawaa dainey lagey
mut-thioun mein khaak ley kar dost aaye waqt-e-dafn
zindagi bhar ki mohabbat kaa silaa dainey lagey
aaina hou jaaye mera ishq unn key husn kaa
kiya maza jou dard agar khud hi dawaa dainey lagey
seena-e-souzaan mein saaqib ghut rahaa hai woh dhuwan
uff karun tou aag duniya ki hawaa dainey lagey