faqat aik khwaub ki chah main har haqeeqat bhula dee hum nay
ab sochtay hain kyoon khud ko yah saza dee hum nay
dono hee qaid rahay apni an'a kay hisaar main
na us nay murh ke daikha na sada dee hum nay
is umeed pe ke kabhi to shab-e-gham ki bhi sahar ho gee
tamaam umar teeragi main hee bita dee hum nay
rishtay bhi ajnabi thay ajnabi dayaar kay
wohi dushman-e-jaan hoa jisay dil main jagah dee hum nay
Ahl-e-dunia dushmani janay kis tor nibha laitay hain
ik dosti nibhanay main umar ganwa dee hum nay
zindagi pahlay bhi kuch itni sahal nahi thee
phir tujhay chah ke aur bhi kathin bana li hum nay
un ko bhi ho khabar yah zaroori to nahi
jin ki khatir apni hasti tak mita dee hum nay
us kay laut kar aanay ka koi waada tha na umeed
janay kyoon phir woh raah har shaam taki hum nay!
Yun laga kisi ne apni zindagi ka poora fasaana is poetry mein shaamil kar liya ho... Kya khoob kehna us poet ka jis ne yeh khoobsurat kalaam tarteeb diya !
Main Ek Raaz Hoon Kissi Shaa'ir Ka
Kissi Shaa'ir Kay Dil Mein Rehta Hoon
Uss Ki Har Baat Pe Hoon Mushtamil Mein
Har Ek 'aah' mein jhalukta rehta Hoon
Shub-o-Rauz Zarb Uss Ko De De Kar
Har Boond-e-ashk Mein Behta Rehta Hoon
Bhula Na Dey Kabhi Mujh Ko Woh
Har Ek Saaz Mein Bujta Rehta Hoon
Aur Chhup Na Jaaey Kahin Mujh Se Woh
Nigaahon Mein Uss Ki Basaa Rehta Hoon
Main Kya Hoon? Kyun Hoon? Maath Poocho
Key Jawab Iss Sawal Ka, Mein Bhi Dhoondta Rehta hoon
Bus! Main Ek Raaz Hoon Kissi Shaa'ir Ka
Kissi Shaa'ir Ke Dil Mein Rehta Hoon!
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Wah ji wah kal tak munir kar raha thaa ussay tu na kaha gaya aaj hamara reply karna shayad chub raha hai !!!
Aur Munir, dost ne shayad dosti ka jawab dosti se nahee diya ab tak... :p
[/QUOTE]
[QUOTE]
*Originally posted by arifnawaz: *
Wah ji wah kal tak munir kar raha thaa ussay tu na kaha gaya aaj hamara reply karna shayad chub raha hai !!!
Aur Munir, dost ne shayad dosti ka jawab dosti se nahee diya ab tak... :p
[/QUOTE]
iski wajha bhi ap khudh hi hain
aap ki jab koi relation nahin mujh sey tu aap kyo free horahay hain
u dont know me
u dont have any relation with me
u dont love me >>>>>.jab k main nay tu ap sey nahin pocha tha abt love
Tunay mujhsey pyaar na kiya, ab is ka kya karien
Tere deewane ho chuke, ab is kya karien
Shuru se hai ab tak, tunay hamien na jaane
Ghalat fahmiyaan hain, ab is ka kya karien
Har lamha tujhe yaad kiya hamnay,
Tujhay nahin ehsaas judai ka, ab is ka kya karien
Tum chahte ho humien, yeh jaante hain hum…
Tunay kabhi zahir na kiya, ab is ka kya karien
Mere ghum ki qeemat, na laga
Tunay gir gir ke barhai qeemat apni, ab is ka kya karien!!!!!!!!