Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh
Jab hara dain muqaddar ki chaalon k dukh
.
.
Jin ki aankhein nahin woh na royein kabhi
Jaan jaayein agar aankh waalon k dukh
.
.
Meri manzil kahan,humsafar hai kidhar
Maar daalain gay ab in sawaalon
k dukh
.
.
Tum milay ho tumhari muhabbat nahin
Hijr se barrh gaye hain wisaalon
k dukh
.
.
Dau ghharri k liye paas baitho agar
Bhool jaayein hum kitnay saalon k dukh
.
.
Meri sochon k jaltay huay dasht se
Chheen lay aa k apnay khayyaalon k dukh…!!!
Re: Jin ki aankhein nahin woh na royein kabhi
Meri manzil kahan,humsafar hai kidhar
Maar daalain gay ab in sawaalon
k dukh
bohat khoob..