jiia ki farmayish pe

Surmayi shaam hai ya aks uska
Dil ke darbaan meiN hai ghar uska

Qaid kar loN usay maiN muthi meiN
Jugnu-ouN sa hai saraapa uska

Woh kahe din tu saweraa kar duN
Neend aaye tu bunoN khwaab uska

Hai tammanna sajaa loN hontoN pe
Itna pyaara lage hai naam uska

Uski baatoN meiN ik sharaarat hai
Dilbaraana sa hai andaaz uska

Uski taaseer aab-e-zumzum si
Dhoop main chaoN aisa pyar uska

By: Pari

Re: jiia ki farmayish pe

Uski taaseer aab-e-zumzum si
Dhoop main chaoN aisa pyar uska

:hayaa:

Re: jiia ki farmayish pe

:salute: zabardast sharing madz :lajawab:
pari zameen per

https://encrypted-tbn3.gstatic.com/images?q=tbn:ANd9GcT7b4q1n1xaz35ofhDoL2RN6N1DaOG0pQpE15vmIkHVa6qQoC-iGw
bohat piyar se likhi hue hy

Re: jiia ki farmayish pe

issey pher ke ye song ganey ko dil ker raha hai :xeno:

Surili akhiyon wale
Suna hai teri akhiyon se
Behti hai neendein
Aur neendon mein sapne
Kabhi to kinaro pe
Utar mere sapno se
Aaja zameen pe aur mil ja kahin pe
Mil ja kahin ..
Ohhhoooooooo
Mil ja kahin samey se pareh
Samey se pareh mil ja kahin
Tu bhi akhiyon se kabhi meri akhiyon ki sunn :xeno:

Re: jiia ki farmayish pe

dedicated to my khan :wub:

:xeno:

:xeno:

Re: jiia ki farmayish pe

yeh pora thread jiia aur jiia k khan k naam

Re: jiia ki farmayish pe

nhai yi PARI k liay hy :cu2:

:emmy: kam chori na kren acha

Re: jiia ki farmayish pe

pari ne jiia k leay likha

Re: jiia ki farmayish pe

nahi yi to unko pata hoga kis k iay likha hy

Re: jiia ki farmayish pe

pari ne likha,madz ne jiia k naam kar dia

Re: jiia ki farmayish pe

Qaid kar loN usay maiN muthi meiN
Jugnu-ouN sa hai saraapa uska

kisi thaanedar ne likhi hai ye poem?

Re: jiia ki farmayish pe

Maine likhi hai :emmy:
Jiia ke kehne pe post ki hai. Ab wo bhi apni likhi hui share karengi.

Re: jiia ki farmayish pe

jugnoo aur titli bachay pakarte hain aksar.

Re: jiia ki farmayish pe

Problem? :asa:

Re: jiia ki farmayish pe

Thanks girls. Lovely song. And salman khan :wub:

Re: jiia ki farmayish pe

to shyar abhi bacha hai?

Re: jiia ki farmayish pe

yeh pari kon hai....

Re: jiia ki farmayish pe

Hehe dil tu bacha hai ji.

Re: jiia ki farmayish pe

Mera pen name hai :bummer:

Re: jiia ki farmayish pe

Aala!