ummeed-e-qawii hai k aapke mizaaaj-e-giraamii ba_Khair hoNge
Jigar Muradabadi ek shaa’ir-e-fitrat aur shaa’ir-e-rindaanah the jab k AsGhar GonDvii ek Allah waale nek insaan the magar donoN ke beech she’rii lagaao ke saath saath ek rooHaanii lagaao bhii thaa. AsGhar Jigar ke ham-zulf bhii the is liye aksar o beshtar Jigar ko sharaab noshii se baaz rahne kii talqeen bhii kiyaa karte the.
“merii rooH ko sukoon aur dil ko aaraam isii dar pe aa kar miltaa hai” … Jigar ko AsGhar se nihaayat 'aqeedat thii jiskaa zikr e Khair unhoN ne is she’r meN yuN kiyaa:**
**Hariim-e-Husn ma’aanaa hai, “Jigar!”, kaashaana-e-****“AsGhar!” ****
jo baiTho baa_adab ho kar to uTTho baa_Khabar ho kar
****AsGhar kaa Khayaal thaa k Jigar ek na ek din sharaab noshii se bil-zaroor tauba kareNge aur phir unkii baat unke intiqaal ke ba’d sach saabit huii aur Jigar ne sharaab se tauba kar li.
mausoof ne Jigar se apne ek she’r meN dar-parda yeh farmaayaa thaa:
chaman meN chheRtii hai kis maze se Ghuncha o gul se
magar, baad-e-sabaa kii paak-daamaanii nahiiN jaatii
Jigar ne us roz va’da kiyaa thaa k vo paak-daamaanii ko kabhii haath se nahiiN jaane deNge.
**
Re: Jigar Muradabadi kii AsGhar GonDvii se 'aqeedat...ek muKhtasir baat!
Hariim-e-Husn ma'aanaa hai, **"Jigar!"*, kaashaana-e-"AsGhar!" ***
jo baiTho baa_adab ho kar to uTTho baa_Khabar ho kar
*---------------------------------------------------------------
*
chaman meN chheRtii hai kis maze se Ghuncha o gul se
magar, baad-e-sabaa kii paak-daamaanii nahiiN jaatii
**
Re: Jigar Muradabadi kii AsGhar GonDvii se 'aqeedat...ek muKhtasir baat!
Good sharing KKF. :)
*thank you Diwana saaHib :)
*
Very nice KKF bhai especially "jo baiTho baa_adab ho kar to uTTho baa_Khabar ho kar" thank you UZ...yes...yeh rooHaanii aur mazHabii silsilavaar faiz aise hii muntaqil hotaa hai..."dil to dil faiz"** :)**