Nazar milake mere paas aake loot liya
nazar hati thi ke phir muskurake loot liya
shikast-e-husn ka jalwah dikhake loot liya
nigaah neechi kiye ser jhuka ke loot liya
duhaee hai mere Allah ki duhaee hai
kisi ne mujh se bhi mujh ko chupake loot liya
salam uss pa jis ne utha ke parda-e-dil
mujhi mein reh ke mujhi mein samake loot liya
unn he ke dil se koee uss ki azmatein puuche
woh aik dil jise sab kuch luta ke loot liya
yahan tu khud teri hasti hae ishq ko darkar
wo aur honge jinhein muskurake loot liya
khushaa wo jaan jise dee gaee amanat-e-ishq
zahey wo dil jise apna banake loot liya
nigah daal di jis per haseen aankhon ne
usay bhi husn-e-mujassam banake loot liya
raha qaraab-e-mohabat he wo jise tuu ne
khud apna dard-e-mohabat dikhake loot liya
koee ye loot tu dekhe ke uss ne jab chaha
tamaam hasti-e-dil ko jaga ke loot liya
karishma saazi-e-husn-e-azal aray tauba
mera he aeena mujh ko dikhake loot liya
By: Jigar moradabadi