jigar ki aag bujhey jald jis mein woh shay laa
lagaa key barf mein saaqi suraahi-e-mai laa
qadam kou haath lagaata hun, uth kahin ghar chal
khuda key waastey itna tou paon mat phailaa
nikal key waadi-e-wehshat sey daikh ae majnun
key zor dhun mein ab aata hai naaqa-e-laila
giraa jou haath sey farhaad key kahin teesha
daroon-e-koh sey nikali sadaa-e-waavela
nazaakat us key mukhrey ki dekhiyo Inshaa
naseem-e-subha jou choo jaaye rang hou mailaa
(InshAllah khan Inshaa)