lutf wo ishq main paye hain k ji jaanta hai
ranj b aise uthaye hain k ji jaanta hai
jo zamane k sitam hain wo zamana jane
tu ne dil itne sataye hain k ji jaanta hai
saadgi, bankpan, aghmaz, shararat, shokhi
tu ne andaz wo paye hain k ji jaanta hai
inhi qadmon ne tumhare inhi qadmon ki qasam
khak main itne milaye hain k ji jaanta hai
tum nahin jaante ab tak k tumhare andaz
wo mere dil main samaye hain k ji jaanta hai
dosti main teri dar per wo hamare dushman hain
is qadar apne paraye hain k ji jaanta hai
muskarate hue wo majma-e-aghyaar k saath
aaj yun bazm main aaye hain k ji jaanta hai
kaaba-o-deer main pathra gayin donon aankhein
aise jalwe nazar aaye hain k ji jaanta hai
DAAGH-e-warifta ko hum tere kooche se
is tarah khench k laaye hain ke jio jaanta hai