Jhulas Gaye Hain

Meri Wafa Ne Khilaaye Thy Jo Gulaab Saray Jhulas Gaye Hain
Tumhari Ankhon Main Jis Qadar Thy Wo Khwaab Saray Jhulas Gaye Hain

Meri Zameen Ko Kisi Naye Haadsay Ka Hai Intezaar Shayad
Gunah Phailnay Lagay Hain Ajar-O-Sawab Saray Jhulas Gaye Hain

Jo Tum Gaye Tou Meri Nazar Pe Haqeeqaton K Azaab Utray
Yeh Sochta Hoon K Kia Karoonga Saraab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Moajza Sirf Aik Shab Ki Musafaton K Sabab Hua Hai
Tumharay Or Meray Darmiyaan K Hijaab Saray Jhulas Gaye Hain

Usay Batana K Uski Yaadon K Saray Safhay Jala Chuka Hoon
Kitaab-E-Dil Main Raqam Thy Jitnay Wo Baab Saray Jhulas Gaye Hain

Nazar Uthaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton K
Ye Kia K Meray Naseeb K Mahtaab Saray Jhulas Gaye Hain

Tumhari Nazron Ki Yeh Tapish Hai K Meray Lafzon Pe Aablay Hain
Sawal Saray Jhulas Gaye Hain Jawab Saray Jhulas Gaye Hain

Yeh Aag Khamoshion Ki Kaisi Tumhari Aankhon Main Tairti Hai
Tumharay Honton Pe Darj Thy Jo Nisaab Saray Jhulas Gaye Hain

Re: Jhulas Gaye Hain

uff ajazali…
perhne k liay mujy apny zahen k sary :KHULIAY: istamaal kerne parehein
iam tired now:bummer:

Re: Jhulas Gaye Hain

khaliye jhullas gae kia?

Re: Jhulas Gaye Hain

g abhi tak jhulas rahi hein
itna sara zehen ka istamaal :eek::eek:
kerne k mi shkat khilaf hun

Re: Jhulas Gaye Hain

zehn ko istemaal kia karen, waila rkhnay se khali ho jata hai

Re: Jhulas Gaye Hain

main socha kuch shair kam kar doon, lekn mujhe koe be shair aisa nai laga k nikaal doon. a great ghazal by wasi shah.

Re: Jhulas Gaye Hain

Nazar Uthaon Mai Jis Taraf Bhi Muheeb Saaye Hain Zulmaton K
Ye Kia K Meray Naseeb K Mahtaab Saray Jhulas Gaye Hain

Re: Jhulas Gaye Hain

eski zarurat nhai ab to aatiya chaar ho gaya:cb: