Jhuki Jhuki si nazer

Jhuki Jhuki si nazer bai qarar hy ky nahin
daba daba sa sahi in main pyaar hy ky nahin

daba daba sa sahi in main pyaar hy ky nahin

woh pel ky jis main muhabat jawan hoti hy
us aik pal ka tujhy intizar hy ky nahin

daba daba sa sahi in main pyaar hy ky nahin

tu aony dil ki jawan dherrkanon ko gin ky bataa
mairi terha taira dil baiqara hy ky nahin

daba daba sa sahi in main pyaar hy ky nahin

tairi umeed py thukra raha houn duniya ko
tujhy bhi khud py ye hi ikhtiyaar hy ky nahin

daba daba sa sahi in main pyaar hy ky nahin

Jhuki Jhuki si nazer bai qarar hy ky nahin
daba daba sa sahi in main pyaar hy ky nahin

Need some correction ...

Here you go ...

Jhuki jhuki si nazar beqaraar hai ke nahee
Daba daba sa sahi dil mein pyar hai ke nahee

Tu apne dil ke jawaan dharkanoon ki gin ke bata
Mere tarah tera dil beqaraar hai ke nahee

Woh pal ke jis mein muhabbat jawaan hoti hai
Us ek pal ka tujhe intezaar hai ke nahee

Teri umeed pe thukraa raha hoon duniya ko
Tujhe bhi apne pe yeh aitbaar hai ke nahee ...

Thanks for sharing ... !

THANX 4 UR CORRECTION, AAINDA KHYAL RAHEY GA

tairi umeed py thukra raha houn duniya ko
Tujhe bhi apne pe yeh aitbaar hai ke nahee …

kamal sher hay yeh…thnx for sharing :k:

show_sha thanx 4 liking

Wonderful... :)

If I am not Wrong... Its By.., JAGJEET .... From Movei ... ARTH...

RAJ KARAN and Shabani Azmi

:D