** Jhonka hawa ka aaj bhi
zulfayn urata hoga na
Tera dupatta aaj bhi teray
sur say sarakta hoga na
balon mayn teray aaj bhi
phool koi sajata hoga na
Thandi hawayen raaton mayn
Tujh ko thapkiyan deti hogi naa
Chand ki thandak khawabon mayn
Tujh ko lay kay to jaati hogi na
Sooraj ki kirnayn subah ko
Teri neend urati hogi na
Meray khuwabon mayn sanam
Khud se hi batayn karti hogi na
Mayn dekhta hon chhup chhup kay tum ko
Mehsoos karti hogi na
Kaghaz pay mayri tasweer jaysi kuch to banati hogi na
Ulat palat kay dekh keh uss ko ji bhar kay hansti hogi na
Hanstay hanstay ankhayn tumhari bhar bhar aati hogi na
Mujh ko dhaka tha dhoop mayn jis say woh anchal bhigoti hogi na
Sawan ki rim jhim mera tarana yaad dilati hogi na
Aik Aik mayri batayn tum ko yaad to aati hogi na
Kya tum mayra in sab sawalon ka kuch to jawab dogi na**