Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

shab ka sukoot dasht ki tanhai de gaya
kya kya wo yaadgaar-e-shanasaee de gaya


ankhon ki tarha dil ke dareechay bhi khul gayen
jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya


qatil ki dosti ka saza-yaafta hun mae
manga tha dard zehr-e-maseehai de gaya


jhuk kar teri jabee pe hawa jisko le uri
woh rung aur bhi tujhe rana’ii de gaya


mae ne qalam samjh ke uthaya jo mauj ko
toofan meri soch ko gehrai de gaya
~~*

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

beautiful ghazal :k:

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

wah kiya choice hai Jw jee bohat khoob

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

Aakhir ko mere sath reh reh kar achi ghazlein bhi parhna seekh he lia aap ne :stuck_out_tongue:

very very nice ghazal u hv shared jw :bb:

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

:k:

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

Jhanjharewali, bohat khoobsoorat ghazal hey :k: Thanx for sharing with us :slight_smile:

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

Khoob.. :k:

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

mae ne qalam samjh ke uthaya jo mauj ko
toofan meri soch ko gehrai de gaya

nice sharing JW :)

ap ki apni Jano :p

Re: Jhonka hawa ka zakhm ko beenai de gaya

very nice