I wrote a little piece of poetry. Your feeback will be highly appreciated.
~Jhalak~
Dour kahen ek jhalak si dikhti hay
Na janay bina bhee wo apni apni si lagti hay
Wo nazrein aur wo apnaeyat ka ehsas
Ek shub andharay mein wo roshni jessay lagti hay
Rung oskay chand talay khiltay, mein bas dekhta jaon
Nazrein jab wo ek pal jhupkae, mein weeran sa ho jaon
Sub adaaein sohani phir bhee kitnee saada si wo lagti hay
Andaaz oskay jaisay mausam aatay jaatay
Ek ek pal ko jaisay hein mujhay tarpatay
Baat ye saari kuch ajub si mujhko lugti hay
Udh-shub(midnight) roshni aur woh oska khilta aks
Dekh kar ossay sitaray bhee kartay hein raks
Malika jaisay jannat ki pariyoun ki si lagti hay
Ek lumha rukk kar khud say pocho zara!
Kya ye dikhti jhalak rahay gi sada?
NAHEE, ye jhalak tou ek khuwab hay
Haqeeqat bhala kab kahan kisi ko itni achee lagti hay?