**Shab-e-tanhaai meiN sitaaroN ka libaada orrhey
teri yaadoN ke jugnu sey chamakney lagtey heiN
aur dil pe cha jaata hey khud-farebi ka aesa aalam
ke har taraf teri hi aamad ka samaaN hota hey
jesey kisi aavaaz ke dhoke meiN koi murr kar dekhey
jesey sehra meiN saraaboN ka gumaaN hota hey
…
Shab-e-tanhaai meiN mehak terey khayaaloN ki
merey tasavvur ka tavaaf sa karney lagti hey
tab phir sey khilti heiN umangoN ki laakhoN kalyaN
aur fasl-e-gul ki ye aamad to aesey lagti hey
jesey kisi dil-ruba ki aaNkh meiN iqraar ka zahoor
jesey kisi un-kahi si baat ka be-naam sa saroor!**
Re: Jesey kisi un-kahi si baat ka be-naam sa saroor
Shab-e-tanhaai ke rang
Shab-e-tanhaai meiN sitaaroN ka libaada orrheyteri yaadoN ke jugnu sey chamakney lagtey heiNaur dil pe cha jaata hey khud-farebi ka aesa aalamke har taraf teri hi aamad ka samaaN hota heyjesey kisi aavaaz ke dhoke meiN koi murr kar dekheyjesey sehra meiN saraaboN ka gumaaN hota hey
......Shab-e-tanhaai meiN mehak terey khayaaloN kimerey tasavvur ka tavaaf sa karney lagti heytab phir sey khilti heiN umangoN ki laakhoN kalyaNaur fasl-e-gul ki ye aamad to aesey lagti heyjesey kisi dil-ruba ki aaNkh meiN iqraar ka zahoorjesey kisi un-kahi si baat ka be-naam sa saroor!
By: Amal
Its Amazing.............
Bohat Khobsorat Alfaz Diay App nay Ik Khayal Ko.............
Awesome........
:)
Re: Jesey kisi un-kahi si baat ka be-naam sa saroor
Dushwari, goodnews, soniaa_jee, tahreem, aanish, Sheal, Shab-e-Hijar and Anwaar Qureshi, aap sab dostoN ka be’had shukriya ke aap ney is nazm ko is qadar sara’ha So very nice of you all