Zindagi shart hai…
Zindagi shart hai…yeh shart nibhana hai tujhe
ab phool khile ya na khile
tu saath chale ya na chale
Zindagi shart hai…
suraj ki shuwaou’n ki tarah
khabou’n ke sarabou’n ki tarah
Zidagi shart hai
Jeeney walou’n sey kaho ke chaand sajaney ke liyey ,
jeena parta hai kaiii zakham uthaney ke liyey…
Ab mein samjha ke tere lams ki nisbat janaa
dil pe woh khoo’n ki gulabi ka nasha acha tha
tu ne samjha mein tere rang chura lou’n ga kabhi
mere pindaar se woh tera qila acha tha
jhilmilati huwi har shaam key dohare par
mein ne dekha hai tujhe chaand sitarou’n ki tarhaa
mein ne chaha hai bas itna ke meri jan e jahan
tu mere paas rahe , saya e yazdaa’n ki tarha
tujh ko paa kar mein kisi aur ko paana chahou’n
maut aa jaey jo mein phir khabhi marna chaahou’n
ae meri doobti sansou’n ke amee’n ..ae mere doobte taarou’n ki zamee’n
meri har aas jagaey rakhna
apne anchal ko sajaey rakhna
yaad rakhna ke kisi bhi surat
tujh ko chalna hai
muskurana hai
zindagi shart hai
yeh shart nibhana hai tujhey