Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

saaqiyaa teraa ISRAAR apanii jagah
tere maikash kaa INKAAR apanii jagah

teG apanii jagah daar apanii jagah
aur haqiiqat kaa izhaar apanii jagah

ab kha.nDahar hai kha.nDar hii kaho dosto
shiish mahalo.n ke aasaar apanii jagah

tuur par laakh muusaa se ho guftaaguu
arsh-e-aazam pe diidaar apanii jagah

avvalan haq ne taKhliiq jis ko kiyaa
sab ke baad us kaa izhaar apanii jagah

muKhtasar ye bataa sar baa-kaf kaun thaa
jiit apanii jagah haar apanii jagah

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

nice...

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

nice one!!

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

Nice Nice Nice:)

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

bohat umdaa

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

avvalan haq ne taKhliiq jis ko kiyaa
sab ke baad us kaa izhaar apanii jagah

Bohat Khoob janab..................

thank you

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

:k: kya khoob kaha hai. :slight_smile:

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

good 1

Re: Jeet Apni Jaga - Haar Apni Jaga

:k: