gulshan ki faqat phulon se nahi kaanto se bhi zeenat hoti hai
jeene ke liye is duniya mein gam ki bhi zaroorat hoti hai
ai vaaiz-e-naadaan karta hai tu ek qayaamat ka charcha
yahan roz nigaahe milti hai yahan roz qayaamat hoti hai
vo purasish-e-gam ko aaye hai kuch kah na saku chup rah na saku
khamosh rahu to mushkil hai kah duun to shikaayat hoti hai
karna hi padega zabt-e-alam peene hi padenge yah aansu
fariyaad-o-fugaan se ai naadaan tauheen-e-mohabbat hoti hai
jo aake ruke daaman pe ‘sabaa’ vo ashq nahi hai paani hai
jo aansu na chalke aankhon se us ashq ki qeemat hoti hai
**
- Saba Afghani -
![]()