Jeenay ka bahana tu tha

Zindagi yun thi ke jeene ka bahana tu tha
hum faqat zaib e hikayat thay fasanaa tu tha

Hum ne jis jis ko bhi chaha tere hijran main wo log
aate jaate huway mosam thay zamana tu tha

Ab ke kuch dil bhi na manaa ke palat kar aatay
Warna hum dar badaron ka thikana tu tha

Ya wo aghyaar ke hathon main kamanain thi Faraz
Aur dekh rahe thay ke nishana tu tha

Re: Jeenay ka bahana tu tha

Awesome :k: