Jo mangta hoon wo daina unhain qabool nahi
Jo day rahay hain wo lena mera usool nahi
us nay thokar jo lagaie tu ye ihsaas howa
jeena bay kar sahi itna bhi fazool nahi
meri wafa ka safar kitna mukhtasar nikla
teri jafa hi rukawat thi koi dhool nahi
kia yahi tha meri baylos muhabat ka sila
too ne pathar tu nawazy hain koi phool nahi
naie manzil ki taraf aazim-e safar hoon main ab
kisi begaanay ki khatir main ab malool nahi