jazbay badaltay ja rahay hain........

**jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain

Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain

Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain

Chalay tu hain tumharay sheher say hum

Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain

Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khad o khhaal dhaltay ja rahay hain**

Re: jazbay badaltay ja rahay hain........

badlaw tou hur cheez mai hota hai

Re: jazbay badaltay ja rahay hain........

Right..........agar tabdeli durust simt mein ho to............behtar hy

Re: jazbay badaltay ja rahay hain........

tabdeli k bohot se reasons hotey hain

Re: jazbay badaltay ja rahay hain........

Baat reasons ki nhi Sahi Simt ki hy...........

Re: jazbay badaltay ja rahay hain…

Very Nice Enter..:k:

Re: jazbay badaltay ja rahay hain…

**Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khad o khhaal dhaltay ja rahay hain

sab fani hai :hinna:
**

Re: jazbay badaltay ja rahay hain…

:k:

Re: jazbay badaltay ja rahay hain…

:k: