Meray humsafar hain teri Nazar meray jazb-e-dil ki ye shiddatain
Meray khawab meri basaratain, meri Dharkanain, Meri chahatain Jo teray qadam mery ghar chalain mery saath Shams O Qamar chlain
Teri qurbatoon main sam’et looN Rah-e-Zindagi ki musafatain
Ye rada-e-jaaN tujhay soonp dooN K na dhoop tujh ko karri lagy
lakin dukh na tujh ko ata karain sar-e-dasht-e-gham ki tamazatain
Teray naam meri subha ho tery yaad main meri shaam ho
teray ro baro rahain sur-kharoo meray chashm O dil ki ibaadatin
Tera piyaar meri duaa rahay, ye hi fiqar mujhay sada rahay
K hara rahay tera nakhl-e-jaan, K naseeb hoon tujhain rahatain
Meray Roz O shab k Nisaab main meray paas apna to kuch nahi
Tera Qaraz hay meri zindagi, Meri sansain teri amanatain
Sukran habibi,
bhai zara aahista bolo yahan laws kafi sakht hain
bus zara lootnay ki aawaz aai aur police nay foran
hi pakar kar layjana hay
aap k mazay k chakkar main hamin baray dukh uthanay parain gay
Meray Roz O shab k Nisaab main meray paas apna to kuch nahi Tera Qaraz hay meri zindagi, Meri sansain teri amanatain
*it,s really good nakhan both acha kaha app nay *