Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

Gawahi Toot Ti Kaisay, Muamla Khuda Ka Tha,
Mera Aur Uska Rabta To Haath Aur Dua Ka Tha.

Gulab Qaimat-E-Shaguft, Shaam Tak Chuka Sakay,
Ada Wo Dhoop Ko Hua, Jo Qarz Bhi Saba Ka Tha.

Bikhar Gaya Hai Phool To Hum Hee Se Pooch Guchh Hui
Hisaab Baghbaan Se Hai Kia Dharaa Hawa Ka Tha,

Lahoo Chashida Hath Us Ne Choom Ker Dikha Dia,
Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

:)

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

pehlay shair ma gawahi se kia murad ha?

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

ye to Parveen Shakir ko pata hoga... mere khayal se dil ki gawahi yani muhabbat ki taraf ishara hai

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

qasam ka matlb b gawahi hota ha

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

qasam leke gawahi de jati hai.. lekin qasam bazat e khud gawahi nahin hoti

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

qasam dainay ka matlb gawah bnana hota ha.

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

Bhai pehla shair explain kr sakta ha koi? Kafi gehrai ha us mein

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

qasam gawahi dene wale ka aitbaar paida karti hai

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

muhabbat ki gawahi dil se aati hai aur dil khuda ka ghar hai.. so shayara ne apne rishte ka taluq khuda se joRa hai.. pehle misre main... doosra misra self explanatory hai

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

pehlay shair ki demand bharti ja rahi ha :D
mera khyal ha dusray missray mai dua ki bat ki ja rahi ha aur pehlay missray Khuda se dua mangnay pr Khuda ko gawah banaya ja raha ha. K khuda janta ha k shayer k hath jb bhi dua k leay aur wo bhi os k leay.
aur bhi interpretations ho skti hain

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

Thanks muqawee bhai but i agree with ajzali bhai

Re: Jaza Wahan Mili Jaha Marhala Saza Ka Tha

main lafzi matlb byan kr rha tha, :)
jb hum Khuda ki qasam daitay hain to es ka mtlb hota ha hum Khuda ko gawah bana rhy hain k jo keh rhy hain Khuda janta ha