Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Ataa Jisay Tera Aks-e-Jamaal Hota Hai
Wo Phool Saaray Gulistaan Ka Laal Hota Hai

Raah-e-Majaaz Mein Hain Manzilain Haqeeqat Ki
Magar Ye Ahl-e-Nazar Ka Khayaal Hota Hai

Talaash Karti Hai Saaye Tumhaare Aanchal Ke
Chaman Mein Baad-e-Sabaa Ka Ye Haal Hota Hai

Bahaar-e-Fitrat Sayyaad Ki Kahani Hai
Ke Iske Dosh Pe Phoolon Ka Jaal Hota Hai

Ye Waardaat Bhee Ab Dil Pe Roz Hoti Hai
Musarraton Mein Bhee Ham Ko Malaal Hota Hai

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”
Kisi Ghareeb Ke Dil Ka Sawaal Hota Hai.

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

teri subh keh rahi hai teri raat ka fasana :cobra:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Bachy mojood hain yahan :lb:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

life1 main aap ne ek adult post pe like kia, maine dekha

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Jawab acha diya tha X2 ny... :LB:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Ye Bikhray Bikhray Se Gesu, Thaki Thaki Aankhain
Ke Jaisay Koi Gulistaan Nidhaal Hota Hai

yeh shair parh ker eik aur shair yaad aa gaya:

yeh uri uri see rangat yeh bikhray bikhray gesu
teri subh keh rahee hai teri raat ka fasana

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

:silly:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

:)

aap ke mere khayalat kafi milte julte hain :sid:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Bachon koh aisee soch zeb nahin detee. :smiley:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Samjhayen Muqa ko :nahi:

Re: Jawaab De Na Sakay Jis Ka Do Jahaan “Sagar”

Tusi vich kyun luch taal rae ho. :emmy: