Re: Javed Ahmed Ghamdi
ofcourse
[quote]
Asay(Quran ko) Asaan Aur Qabilay Faham Zaban main Nazil kia gaya tha Taakay Jo musalmaan bhi koshish karay Asay Samjh sakain
[/quote]
pir is ko nabi per bejnay ki kia zaroort thee , kisi per bi beej detay
bahi
there are three type in Quranic
1 Easy ( like , ahkam of Nimaz, zakat , haj etc ) which every one can understand
2. Medium ( masail , i am not getting the write word ) , grammer , where it is nessasary to consult some Aalim , who have background in that field
3 Not allowed , jin ka kisi ko naeen bataya gia, for example ALIF , LAM , MEEM
etc,
so you can't say that Quran is so easy that any one can understand
the method is to study along with translation and then consult the Aalim what the purpose of such verse etc etc
[quote]
Is per Amaal bhi kar sakain.
Muhammad(pbuh)ke Naboowaat 23 saal rahi thi.In main se 13 Saal Makkah main Guzara yani 23 main 13 year (yani 50% se zada Arsa)Makkah main Makkah main App ko kin Halaat ka samna kara para yea App sab ko pata hai.Yani Muhammad(pbuh)ke yea zindagaye ka ek ek saal sadiyoo(centuries)per Pahla hooa tha Agar main aisa kahoon tu kuch Ghalaat na hoo Ga.Sirf Makkah ke Zinagaye main Naboowaat Ke Baad Hazoor PBUH sirf 300 logo ke Musalmaan Kar chukay thai.Yani ke App ko 13 Saal Makkah ke zindagee mai kitny Mahnaat karna parni Ghair Muslim Ko muslim karnay main Andaza Lagaye ke kitny Taklifain Bardasht karna Pari.Aur 300 logo ko kafiroon se Bachana bhi Parha.Kion ke sab in ke dushmaan hoo gaye thai.Pata hai Hazoor PBUH aur Baqi Anbiyaa Ko Koi Muzja nahi Mila.App chahyeen
Tu quran Daikh lain Hazoor ke pass bhut se log atay thai Ke App Koi Mujza Daikhain Lakin Hazoor(pbuh)yea kahtay thai ke ke mere koi Mujza nahi.
[/quote]
kindly give reference to any verse or Hadees
itna bara dawa khod sey na kareen thanx
for us the Quran is the living mojza of Hazoor PBUH
[quote]
HAzoor aur Quran ke Taleem daikh Lain App ko Quran ke Taleem se khud Andaza hoo Jaye Gaye ke Yea Kainaat Khud ek Bhut Bara Mujza hai.EK Tree ko daikh lain WOh ek Danay se kaisa Taanawar Tree baan Jata hai.Zameen main aisi kia Kahsoosiyaat hai yea Science kia Pori Duniya Ka elim bhi Batanay se kasir hai.YEa Taleem Hazoor nay dai ke yea Allah ke qanoon se hoota hai.Quran ke Ek Ek ayat parh lain App per yea Haqeeqat Wazay hoo jaye gaye.Makkah ke in na munasib Halaat ke waja se App ko MAdina (yasrab or Aqsa jo ke is ke poranay naam hai)hijraat karna pari daikhain In moothi bahar Muslim nay madina jaa kia inqalaab barpa kia Is per Tarikh Gawah hai Yahan Elim o Burhan Adaal o Insaaf Bhai charay nay Aisa Mashra Qaim kia jo Shair aaj madinay kay Naam se Mashoor hai Wahaan Din Nafiz Hoo Gaya.Aur is din per chalnay walay sahba nay HAzoor ke Qayadaat main baad Main Makkah Fatah kia aur is inqalaab se Elim o Burhan Tahqeeq o Justujoo Jaan aur Maal ke Qurbani nay AIsa SAmdar ka toofan Barpa kia Jo sab Jahlaat ko Bah kar lay gaya.Hazaraat bilal se sab Waqif hai Yea Ek ghulam thai jaab din nafid hoo gaya tu Muhammad pbuh nay in ko Syeddina Bilal kah kar Pukara Zara In Alfaz se App Sarware Kainaat ke Kirdaaar ka jaiza lain Jo ke os zamanay ke Iqdar e Ala per Faiz thai ek Ghulam ko Apna Aqaa Kah kar pukar hai Yaad rakhain is Hazoor ke Martbay Per Aanch nahi Aty Balke in ke Azmaat aur Barhty hai.App zara is qoom ko Maday Nazar Rakhain ke in main aisi kia Khoobi thi jaab din nafid hoonay ke baad inhoonay poriya Duniya Fatah kar liye Sidhi baat hai In sahaba nay apni zindagayee Allah Ko Hazir o Nazir jaan day de thi.Abb in ka Maqsaad Tahqeeq o justojo Bhai chara Aur Amaan Pahlana tha.Kion ke in ke rag rag main Muhammad(pbuh) ke Taleem bool rahi thi woh sab jantay thai ke zidagaye thoray arsay ke liye aur Akhiraat ke zindagyee Hamesha ke.Hazoor ke Taleem nay kia sooda karya kia baat hai hazoor ke taleem ke.Os zamnay main Quran ke Taleem Ghosay Ghosay main bool rahi thi.Hazoor nay apny Tarqay main kuch nahi choora tha shayaad app ko pata hoo.Lakin ek aisi chiz woh choor gaye thai.jo aaj bhi wasi hi hai Jo insaniyaat ke har chiz se zada qeemti hai Quran.Hazoor ke baad Khilaft E Rashda qaim hoye.
Mujhe maaf kariye Ga mere shia bhai (Khilafat e rashda 12 sahba per mushtamil thi)Hazoor ke bad jo 12 sahba Bars e IQtadar ayee woh sab Rasheed hi thai.Agar kisi ko Tarikh se dilchaspi hai daikh lay.In ke baad kia hooa Khilafat e Mulukiyaat(yea kia agar kisi ko dilchaspi hoodaikh lain mulukiyaat kisi kahtay hai Nafiz hoyee.Quran jis ko Khataam karnay aya tha woh ek baar phir insaan ka muqadar baan gaye.Yahaan se ek firtna Barpa hooa Jis ko Mazhabi Paishwayaat Kahtay hai.YEa mazhabi paishwayaat kia hai is ka nazara app ko apnay mahool main mil jaye ga.Jis main har firqa dosray firqay ke nazdik kafir hai murtid hai.Is mazhabi Paishwayaat nay sab se Pahlay Sahaba karaam ko Nishna banaya.Jo ke Allah ke Nazdik Razi Allah Tallah Anhaa(is ka matlab hai Allah in se razi hoo gaya Allah nay quran main in kia martaba dia ke Allah ke qanoon ko nafiz karnay ke liye Hazoor ko kaha gaya ke in se mashwara lia karain) Kahlay.Is mazhabi paishwayaat nay Aisi baatein Hazoor se munsalik ke jo Harqiz Harqaiz Hazoor ke Taleem na thin.Is Mazhabi Paishwayaat nay khud sakhta Nabi aur Aur Khud sakhta Kitabain Paida ke aur in ko hazoor se munsalik kar dia.Is dunia nay Bari bari saltanaat daikhain bari Qoomain daikhian kia hooa in ka Tarikh gawah hai is per Sab naasto Naboot hoo gayeen.Is mazhabi paishwayaat ke Buniyaad kis nay rakhi Ahle Iran waloon nay Jo ke Yahoodi aur Essai thai.App sab ko pata hai k in concept kia hai.Aaj bhi humhare samnay mazhabi Paishwayaat ke toofan chaal rahi hai.Baad yea hai ke KE in toofan ko kaisay khataam kia jaye Humhe bhi wohi karna hoo ga Elim o Burhan bhai charay ke fiza qaim karna hoo gaye os hi samndaar se roojo karna hoo ga jo in sab toofan ko Nasto Naboot kar dai.Ayee is baat ka Ahaad kar lain ke Humhe Apnay har Qanoon aur Har Amaal ko Quran ke Roshni main Daikhna hoo ga Taakay woh is Tarikhi ko Khataam Kar day jo is time muslim ka muqadar banaye hoye hai
[/quote]
is sari takreer ka maqsad samj naeen aya
app is key through Ghamdi ki himayat kesay ker rahey haan