Jatindar Parwaj ka khoobsurat kalaam......

tum to khat me likh de’ti ho, ghar me jee ghabraata hai
tum kya jano kya hota hai, haal hamaara sarhad par

**bemausam hi chha jaatay hain, baadal teri yaado ke
bemausam hi ho jaati hai, barish dil ki dharti par
**
aa bhi ja ab jaanay waalay, kuchh in ko bhi chain aaaye
kab se tera raasta dekhe -aaangan, diwaar - o- dar

**jis ki baatein amma abbu aksar kartay rahtay hain
sarhad paar wo kaisa hoga, jo mere purkhon ka ghar **

sahma sahma har ek chehra, manzar manzar khoon me tar
shahar se jangal hi achhha, chal chidiya tu apne ghar

Re: Jatindar Parwaj ka khoobsurat kalaam......

aww Nice!

Re: Jatindar Parwaj ka khoobsurat kalaam…

:k: